Tadap (Vol.-2) Read online




  Tadap

  Vol.-2

  By Jyotirmoy Sarkar

  Copyright 2016 Jyotirmoy Sarkar

  ----*-----

  Preface

  My dear readers, before you start reading this book I must inform you that Hindi is neither my Mother tongue nor I have learned Hindi in any course, so if you find any mistake then kindly ignore.

  From 2009 I am trying to write Shayri, here I have shared some of them.

  Hope you will enjoy reading this book.

  Take care.

  Tadap---1

  Kuchh shukriya toh unka bhi aada karna hai…

  Jinhone ehsaas dilaya ki

  mohabbat me...

  Bewafaayi bhi ek aada hoti hai.

  ********

  Tadap---2

  Zindagi bhi kiya kiya rang dikhati hai !!!!...

  Jo kabhi mere bina jeene ki khwahish na rakhte the…

  Suna hai aajkal woh

  Meri maut ka dua dil se mangti hai.

  ********

  Tadap---3

  Zindagi ki zaruraton se rishtey banati hai woh

  dil ki zaruraron se rishtey banaye…

  Itni bhi bewakoof nahi hai woh.

  ********

  Tadap---4

  Chal mohabbat ke unn lamho ko

  phir se dauhorate hai….

  Tu phir se jhute wade kar lena

  Mei phir unn wadon par zindagi lootadunga.

  . ********

  Tadap---5

  Mujhse pyaar ka dawa karti rahi woh….

  Sham kisi aur ke bahon me guzarte huye.

  ********

  Tadap---6

  Ehsaas aajkal kuchh aisa hai…

  Tere pyaar par yakeen nahi aur

  Dil tujhe bewafa manta nahi.

  ********

  Tadap---7

  Jin raasto se guzra karte the hum tum

  Barso baad kal unhi rasto se akele guzar aaye hum

  Bahut anjani si lag rahi thi rahe

  Teri hi tarah.

  Bahut dukaane ho geyi hai aab wahan…

  Bahot hara bhara ho gaya hai…

  Teri zindagi ki tarah.

  *******

  Tadap---8

  Aksar

  haazar bahane hote hai mohabat karne ki

  Aksar

  Mohabbat ke bahane log intezaar nahi karte

  *******

  Tadap---9

  Jinki bahon me mujhe jeena tha…

  Aab unki yaadein le kar mujhe marna hai.

  *******

  Tadap---10.

  Andaaz-e-ewafaa unka kuchh aisa hai…

  Pyaar kam aur pyaar ka dikhawa zyadaa hai.

  *******

  Tadap---11

  Pyaar ka zaman na raha

  Phir bhi yeh hawaye teri khusboo mere ghar lata kyun hai!!!

  Saayad dil ko tadpana sikh liya hai tujhse.

  ********

  Tadap---12

  Kuchh toh rishta aaj bhi hai…

  Tere mere darmiyan.

  Warna teri zikra se dil…

  Zor se dhadakne kyun lagta hai!!!!

  ********

  Tadap---13

  Achchaai ki baat na kar mujhse

  Meine hamesha budaion ko jeet te huye dekha hai…

  Kabhi atanki humle me bewazah bekasoor logo ko marte dekha hai toh

  Kabhie mohabbat me ashiq ko.

  ********

  Tadap---14

  Andaaz-e-gunaah humara kuchh aisa hai…

  Neeyat me wafayi hai aur

  Fitrat me muhabbat.

  ********

  Tadap---15

  Sochta hun phir se ekbar muhabbat karlu

  Phir se duaon me…

  Tumhe hi manglu.

  ********

  Tadap---16

  Mante hai ke hum achchhe nahi

  Lekin itne bhi bewafa nahi ke…

  Jo sapne tere saath dekhe the woh kisi

  Aur ke saath jeelun.

  ********

  Tadap---17

  Pee lu sharaab toh

  Unn dini ki yaad me shayri likhta hun.

  Na peeyu sharaab toh…

  Unki yaad me rota raheta hun.

  Mujhe sharaab na peene ki salaah dete ho

  Meri dard se khushi miti hai tumhe ya

  Meri shayri likhne ki hunar se jalan hai ???

  ********

  Tadap---18

  Likh jaunga mere dil ki har ek tadap

  Meri shayri me…

  Ki unke chahere se muskurahat na hate.

  Suna hai…

  Jab unki zindagi me khushiyon ki kami hoti hai

  Who mere tadapte huye dil ki halat puchhliya karti hai.

  ********

  Tadap---19

  Muhabbat ke path tum padHte nahi

  Jang aur ladaai se nafraat hai tumhe

  Pyaar ki raaho me chalna tum sikhate nahi

  Baatein chain aur aman ki karte ho…

  Kamal ke ho tum duniyawalo

  Kahte kuchh aur ho aur

  Karte kuchh aur.

  ********

  Tadap---20

  Ek arsa guzaardi meine…

  Unki yaad me rote huye.

  Ek yeh aansoon hai jo

  Bewafaayi karti hi nahi.

  ********

  Tadap---21

  Badi nafrat se sharaabi kahete ho mujhe!!!!

  Himmat hai toh…

  Dil todne walo ko bewafaa kahe kar bhi dikhao.

  ********

  Tadap---22

  Barabari unki khubssorti ki kare

  Aisi koi chahera mili nahi

  Ek woh hai ek yeh kudraat hai…

  jinhe

  Khuda ne baadi fursaat se banaya hai.

  ********

  Tadap---23

  Aye khuda

  Kuchh toh sukun iss dil ko de de

  Yah toh use louta de

  Yah phir meri maut ka dua kubul karle.

  ********

  Tadap---24

  Muhabbat toh maine sirf tujhse ki hai

  Baaki chahero ko toh is hairaani se dekhta hun ki

  Kisi me tujh jaisa…

  ek bhi aada kyun nahi.

  ********

  Tadap---25

  Maaf kar dena aii khuda mujhe

  Meine tere naam se zyaada unka naam pukara hai

  Tere dar pe gaye haazar bar

  Par unki galiyon se lakh bar guzre hai.

  Jant hoon kaabil-e maafi nahi meri gunaah

  Kubul hai hare k mujhe

  Aii khuda

  Tujhe yaad toh kiya har din meine

  Par unhe har lamha har pl yad kiya hai.

  ********

  Tadap---26

  Na waqt ka hisaab raheta hai na tarikh ka

  Intezaar jab umrabhar ka ho toh…

  Saal ka hisaab kiya rakh na.

  ********

  Tadap---27

  Meri muhabbat ki rakh pe saazi hai

  Unki khushuyon ka aashiyan

  Meri tadap ki khusboo se mahekti hai

  Unki sham-e-mahfil

  ********

  Tadap---28

  Kuredti rahi meri rakh

  Mera dil dhundne ko…

  Iraada saayad phir se todne ka tha.

  ********

  Tadap---29

  ********

  Kisi aur chehre ki tasavvur ko

  Uthti nahi yeh ankhen

  Yaadon ki bojh hai ya mawal-e-dil-e-zar!!!!

  Tadap---30

  Ek woh zamana tha jab…

  Meri ragon me muhabaat daurta tha.

  Ek yeh zamana hai jab…

  Meri ragon me sharab daurta hai

  Khoon toh kab ka aansson banke bahe gaya.

  ********

  Tadap---31

  Zindagi guzar gayi isi kaushis me ki…
br />   Woh mujhe bewafaa na samjhe

  Aur woh beraham…

  Meri maut pe jashan manati rahi.

  ********

  Tadap---32

  Kabhi kisi din dikh jaoon tumhe

  Mei kisi julush me naachte huye

  Toh samajhlen doston

  Ya toh woh laut aayi hai

  Ya phir meri maut ka dua kubul ho gaya.

  ********

  Tadap---33

  Kiya kiya mangoge mere liye bad-duyayen

  Zalimo…

  Ab koi asar na hoga

  Aaj-kal hum apni maut ki dua khud mangte hai.

  ********

  Tadap---34

  Kitni muhabbat ki thi meine

  Yeh meri maut bayan kar jayegi…

  Jab humesha ke liye sho jayenge neend ki god me

  Unke khat seene se lagaye huye.

  ********

  Tadap---35

  Koi khalish na hoti gar klhwahish na hota

  Khwab na hote toh khoo-e-intezaar na hota.

  ********

  Beimaani

  Ek beimaani kar gayi woh….

  Bina bataye yun hi saath chhod gayi woh.

  Ek beimaani hum bhi kar jayenge

  Unhe ittela kiye bin …

  Yeh duniya chhod jayenge.

  ********

  Berukhi

  Peela deti woh zeher apne hath se toh

  Unke shukraguzaar hote.

  Yun pal pal kisi ko apni berukhi se maarna …

  Kahan ki aadaa hai !!!!

  ********

  Bewafaayi

  Arz kiya hai…

  Tujhjse khubsoorat bahot dekhe

  Tujh jaisa bewafaa nahi

  Agar hoti toh…

  Hum muhabbat dobara kar lete.

  ********

  Pyaar ka batwaara

  Wade kisi se beshumar kar ke…

  Chain kisi aur ke bahon me dhundlena…

  Yeh toh aada hai farebo ka.

  Ek yeh bachche hai aur yeh deewane

  jinki fitraat me yeh aandaaz nahi hoti.

  Bachche kare toh saadgi

  Deewane kare toh paagalpan !!!

  Batwaare ki lat aisi laagi tumhe zaamanewalo ki…

  Pyaar ka bhi batwaraa kar diya

  Maa ki mamta ko Brahman aur

  Deewanepan ko daalit bana diya.

  ********

  Sachchai

  Majboori me jism bechnewalo ko

  Tawaayef bulate hai.

  Kamal ki hai humaarii nazariya bhi…

  Lalach me aapni zameer aur imaan bechnewalo ko

  Aksar hum….

  Sharifo me ginte hai.

  ********

  Who Ladki

  Thi ek ladki Jhalli si

  thodi Khamosh thodi chupchap…

  Zyada baatein karne ki adaat nehi thi

  Phir bhi na jaane kyun humse

  Raat bhar yun hi bekaar ki baatein karti thi.

  Laafzo me haal-e-dil baayan karna aata nehi tha unhe

  Baas…

  Jab bhi dekhti thi mujhe

  Dil aankhon me liye dekhti thi.

  Thi ek laadki paagli si

  Thodi Bachcho jaisi thodi nadaan si

  Baat baat par rutha karti thi mujhse

  Aur

  Pal bhar me yun hi maan bhi jaati thi.

  Roz mujhse kisi na kisi bahane

  Mila karti thi.

  Meine poochhatha unhe…

  Humara rishta kya hai?

  Muskurake kahi thi…

  Meine toh iise

  Dil ka rishta mana hai.

  Meri duyayon ki murat thi woh

  Mere intezaar ki soorat thi woh

  Aab kya baatayen kaisi thi woh?

  Pari jaisi nehi

  Saach me ek pari thi woh.

  ********

  Adhuri Mohabbat

  Humari mohabbat ki kahani

  Adhuri rehe geyi…

  Lekin mohabbat nehi.

  Dil me aaj bhi sirf woh hai

  Koi aur nehi.

  Jab tak saansein chaalegi

  Dil unhi ke liye dhadkta rahega.

  Jab tak dhadkega dil

  Baas

  Unka hi naam leta rahega.

  Doston

  Ho sake toh tum

  Aapni mohabbat ki kahani pura karte jana.

  Kabhi karo kisi se wada toh use nibhate jana.

  Chhodke kisi ka saath

  Tum khush toh raheloge,

  Par saayad koi apni har khushi

  Sirf tumhi me dhundta hoga.

  Zindagi ke har gham me

  Tumhe yaad karta hoga.

  Tumhare baahon ke sahare ke liye

  Tarashta hoga.

  Doston

  Waise toh meri zindagi nakkam rahe geyi

  Par waada karta hoon

  Aapna maut kaamiyaab kar jaunga

  Jab rahunga aasman me sitara banke

  Toh khuda ke bahot paas rahunga

  Tum dil se mohabbat nibhana

  Mei tumhare liye duyayen mangunga

  Phir jab

  tumhare mohabbat ko manzeelein mil jaye toh

  baas ek chhota sa shukriya mujhe kahe dena.

  Agar meri khushi ki fikr hai tumhe doston

  Toh kuchh duyayen mang lena

  Mere liye nehi

  Mere Unke liye…

  woh jahan bhi hai

  baas khush rahe

  hansti rahe, khilti rahe, muskurati rahe.

  ********

  Sachchai

  Aasan hota hai

  Mehenat ki baatein karna

  Mukaam haasil ho jane se.

  Kabhie uss maajdoor ki zindagi jee kar dekho

  Samajh jaoge…

  Wohi hota hai jo

  Manjoor-e-naseeb hota hai.

  ********

  Sannata

  Waqt ne sil diya hai jubaan

  Lafz khamosh padH geye hai.

  Aajkaal

  Na gham me aansoo nikalta hai

  Na hi khushi me muskurati hai.

  Pahele bahot zinda dil hua karta tha

  aab baadi mayoos raheti hai

  Baas Sirf saansein chal rehi hai...

  Mehefil sajana chahta tha

  Do dilon ke aashiyane se

  Khwab sajaye the bahot…

  Aajkaal

  khwabo me unhi khwabo ko jeeta hai

  Zindagibhar ke liye taanhai ne jo aapnaya hai!!!

  Kabhie yeh pyaar baante ki arzoo rakhta tha

  Aajkaal

  Na bante ki taqat hai, na hi pane ki ummeed

  Aajkaal

  Baadi chupchap si ho geyi hai…

  Meri mohabbat.

  ********

  Woh Din…

  Baat unn dino ki hai jab…

  Kuchh log hum-e dewana samajhte the

  Aur kuchh paagal

  Bass…

  Sirf ek wohi thi jo samajhti thi

  Mei ek

  Paagal deewana hoon.

  Aaj bhi mei unka dewana hoon

  Lekin who meri deewani nehi.

  Aaj bhi paagalpan wohi hai

  Baas

  Who paagli saath nehi.

  Baat unn dino ki hai jab

  Mere gaal pe pyaar se hath rakh ke

  Wohj mujhe samjhaya karti thi

  Lakh rukawaton ke bawajood

  Humse mila karti thi

  Raat bhar yun hi humse bekaar ki baatein karti thi

  Mere har dard aur har gham pe roya karti thi.

  Aaj dard to hai par mere liye woh roti nehi

  Aaj gham toh hai par woh samajhti nehi.

  Unke alfaaz hai lekin awaaz nehi

  Mehesoos karta hoon har lamaha unhe

  lekin who mere saath nehi.

  aaj bhi hum sirf unke hai par

  who mere nehi.

  Baat unn dino ki hai

  Beshumaar mohabbat aur

  Meri bewafayi ki hai.

  Aaj pyaar nehi

  Baaki sa
b kuchh hai.

  ********

  Woh Ladki (Part 2)

  Kaun kaheta hai ki

  Waqt nehi rukta !!

  Kabhi Unhe Zulfein laherane ko bolo

  Phir Dekho.

  Kaun kaheta hai ki

  Aasman nehi Jhunkta!!

  Kabhi Unhe Paalkein Jhukane ko bolo

  Phir Dekho.

  Kaun kaheta hai ki

  Yeh hawayen kabhi nehi rukti!!

  Kabhi Unhe chalte chalte rukne ko bolo

  Phir dekho.

  Kaun kaheta hai

  Bin baadal baarish nehi hoti!!

  Kabhi Unka dil dukha kar dekho

  Yeh kayanat bhi roh padHegi.

  Kabhi woh khul ke haans de toh

  Bin haawa ke bhi

  Samandar me laherein uthne lagegi.

  Kaun kaheta hai ki

  Dharti pe pariyan nehi raheti

  Kabhie Unse mil kar toh dekho.

  Saab kahete hai

  Mujhe jeena nehi aata

  Kabhi Unhe meri zindagi me laa kar toh dekho.

  ********

  Mazaak mazaak ki shayri

  Khub jamega rang

  Jab mil baithenge hum tin yaar ek sang

  Piyakkar mei, meri piyakkar biwi aur

  Deshi daaru.

  Dekhne aa jaana yeh nazara…

  Badi aanokhi hogi

  Harjaam uthaunga mei uss bewri ke naam

  Har ghunt mujhjbewre ke naam woh peeyegi.

  **************** The End****************